dua tasir se aari wazaif raegan yani amal radd-e-bala ke ho gae sare dhuan yani haqiqat kya hai is ki kaun jaane kaun batlae raha hai zindagi ka ham-safar paiham guman yani badalte ja rahe hain zawiye suraj ki nazron ke zamin naraaz lagti hai khafa hai aasman yani jo dekhoge to lagta hai sarab-e-dasht bhi dariya jo socho tum agar to khwab sa hai ye jahan yani chalo anjam ko aaghaz ke nuqte pe le aaen bichhadte hain wahin chal kar mile the hum jahan yani jahan-e-rang-o-bu ki bas haqiqat aur kya hogi guzargah-e-zamana ka hai shayad ye nishan yani hai bas itna faqat hum aap ko masruf rakhte hain wagarna shairi 'jawed' hai kar-e-ziyan yani