duaon ka apni asar har taraf munawwar hain sham o sahar har taraf khushi us ke hamrah rukhsat hui udasi giri tut kar har taraf jidhar ji mein aaya udhar chal pade musafir ka hota hai ghar har taraf yunhi apni khushbu uda chaar-su hawa ki tarah tu bikhar har taraf thake hausle be-sada raste tabahi ka lamba safar har taraf andhere 'sahar' ta-nashin ho gae ki raushan hai mera hunar har taraf