dub jaenge sitare aur bikhar jaegi raat dekhti rah jaengi aankhen guzar jaegi raat raat ka pahla pahr hai ahl-e-dil khamosh hain subh tak roti hui aankhon se bhar jaegi raat aarzu ki be-hisi ka gar yahi aalam raha be-talab aaega din aur be-khabar jaegi raat raushni kaisi agar aalam andhera ho gaya dil mein bas jaegi aankhon mein utar jaegi raat koi aahat bhi na sun paega khwabida chaman khushk patton par dabe panw guzar jaegi raat dil mein rah jaenge tanhai ke qadmon ke nishan apne pichhe kitni yaaden chhod kar jaegi raat sham hi se so gae hain log aankhen mund kar kis ka darwaza khulega kis ke ghar jaegi raat der tak 'shahzad' aankhon mein phiregi chandni kat to jaegi magar kya kuchh na kar jaegi raat