phir misr ke bazar mein nilam hua kyun ai ishq bata tera ye anjam hua kyun hum bais-e-rahat jise samjhe the wo lamha ab apne liye bais-e-alam hua kyun ai ishq falak par tujhe likha jo khuda ne phir tera muqaddar bhala ibham hua kyun ai ishq tera nam hai jab sach ki alamat ai ishq tu ruswa yun sar-e-am hua kyun jab ek hi sajde mein tera bhed chhupa hai phir sang-e-malamat hi tera dam hua kyun ai aankh tu be-khwab hai khwabon ki talab mein ye hijr hi aakhir tera inam hua kyun chehre pe tere kis liye hairat hai abhi tak ye itni wazahat pe bhi ibham hua kyun is dil ko hai mahbub wahi dard ka naghma is dil mein tajjub hai ye kohram hua kyun jo teri mohabbat ko samajh hi nahin paya 'shahin' ye dil us ke bhala nam hua kyun