ho gai baat purani phir bhi yaad hai mujh ko zabani phir bhi mauja-e-gham ne to dam tod diya rah gaya aankh mein pani phir bhi main ne socha bhi nahin tha is ko ho gai sham suhani phir bhi chashm-e-nam ne use jate dekha dil ne ye baat na mani phir bhi log arzan hue jate hain yahan badhti jati hai girani phir bhi burida lae ho darbar mein tum yaad hai shoala-bayani phir bhi bhul jote hain musafir rasta log kahte hain kahani phir bhi