dubna hai us se ye iqrar kar lena mera phir ba-asani samundar par kar lena mera kaun puchhe mujh se meri gosha-giri ka sabab kaun samjhe dar kabhi diwar kar lena mera ek khushbu ban ke guzre sar se sare garm o sard us ka chehra thamna aur pyar kar lena mera ban gaya logon ki shan-e-kaj-kulahi ka sawal apne sar ko laeq-e-dastar kar lena mera 'ramz' us ko de gaya ek tarz-e-fariyaad-o-fughan band aankhon ko lab-e-izhaar kar lena mera