lab pe aish-e-ahd-e-mazi ka hai afsana hanuz ja chuki hai fasl-e-gul aur main hun diwana hanuz chain kaisa qabr mein sar par hai roz-e-baz-purs dastan-e-dard-e-hasti ko hai dohrana hanuz ab bhi sharh-e-soz-e-dil karti hai parwane ki khak sun rahi hai shama khamoshi se afsana hanuz phenk di sari sharab ai wae be-sabri-e-shauq lab tak aane bhi nahin paya tha paimana hanuz kya mite ummid-e-tasir-e-dua ka iztirab dil hai shan-e-rahmat-e-bari ka diwana hanuz zindagi aakhir hui lekin hawas ki had nahin qabr banne ko hai aur banta hai kashana hanuz na-umidi bhi mudawa be-qarari ka nahin mashghala dil ka hai tum ko yaad farmana hanuz umr-bhar khaya fareb-e-dosti lekin ye dil rasm-o-rah-e-ahl-e-alam se hai begana hanuz zist ki har sans hoti hai ham-aghosh-e-fana har-nafas hai maut aur baqi hai mar jaana hunuz kahte kahte arsa-e-mahshar tak aaya hun magar na-mukammal hai gham-e-hasti ka afsana hanuz paiham aankhon ka jhapakna kya juz ima-e-sujud in ishaaron se magar 'mani' hai begana hanuz