mausam-e-gul tere inam abhi baqi hain shahr mein aur gul-andam abhi baqi hain aur khil ja ki maarif ki guzargahon mein pech ai zulf-e-siyah-fam abhi baqi hain ek subu aur ki lauh-e-dil-e-mai-noshan par kuchh nuqush-e-sahar-o-sham abhi baqi hain thahar ai baad-e-sahar is gul-e-nau-rasta ke nam aur bhi shauq ke paigham abhi baqi hain uttho ai shab ke ghazalo ki sahar se pahle chand lamhat-e-khush-anjam abhi baqi hain intizar ai dil-o-dida ki hazaron asrar sae ki tarah tah-e-jam abhi baqi hain khol kar kijiye tashrih-e-sar-e-misra-e-zulf is nawishte mein kuchh ibham abhi baqi hain ai sahi-qad teri nisbat se sab unchi qadren bawajud-e-rawish-e-am abhi baqi hain hum mein kal ke na sahi 'hafiz'-o-'khayyam' 'zafar' aaj ke 'hafiz'-o-'khayyam' abhi baqi hain