mazhabi chingariyon se bastiyan jal jaengi in charaghon se na uljho ungliyan jal jaengi aag gulshan mein laga di aur socha bhi nahin in gulon ke sath kitni titliyan jal jaengi nafraton ki aandhiyan yun hi agar chalti rahi rakh mein pinhan hain jo chingariyan jal jaengi aasmanon ko jala kar ek din pachhtaoge jal utha sawan to sari badliyan jal jaengi koi shor-o-ghul na sannaton ka phir hoga wajud sath hi aawaz ke khamoshiyan jal jaengi yun hi gar tanhaiyon ke daere badhte gae aadmi rah jaega parchhaiyan jal jaengi phir mohabbat ke alawon ko nafas raushan karo dhimi dhimi aanch mein sab talkhiyan jal jaengi