duboegi buto ye jism dariya-bar pani mein banegi mauj bhi mere liye zunnar pani mein ghubar-e-dida-tar se takaddur dil ka zahir hai tamasha hai uthi mitti ki ek diwar pani mein tan-e-be-jaan mein jaan aai hai abru ke ishaare se bujhi thi chashma-e-haiwan ki ye talwar pani mein yahi rona hai furqat mein to jaan aankhon se niklegi hai murgh-e-abi udne ke liye tayyar pani mein hamein kya ghair ke kheton pe jo abr-e-karam barsa na aai apni jaanib to kabhi bauchhaar pani mein tadapta hun main ro ro ke khayal-e-mushaf-rukh mein ki ghusl-e-irtimasi karte hain din-dar pani mein mere rone pe wo hanste hain to aghyar jalte hain tilism-e-taza hai bad-gil hue finnar pani mein hue gharq-e-araq jo sharm-e-isyan se wo pak utthe hua karte hain paida gauhar-e-shahwar pani mein na hogi aabru-e-arzi to jauhar-e-zati piyen sone ka pani bhi agar zardar pani mein jo tu aaina rakh kar samne zewar pahanta hai teri baali ki machhli tairti hai yar pani mein sharab-e-nab hai ek qism ka pani hai ai zahid abas kyun hai tujhe ai na samajh inkar pani mein latifuttaba juz rahat nahin dete kabhi iza nahin mumkin ki paida ho chhuri ki dhaar pani mein bana dete hain dam mein saikdon gumbad hababon ke khuda ki shan rahte hain ajab meamar pani mein