gar kahun ghair se phir rabt hua tujh ko kya kya bura man ke kahta hai bhala tujh ko kya sar uthana tujhe baalin se jo dushwar hai ab kyun dila baithe-bithae ye hua tujh ko kya puchhun ranjish ka sabab us se to jhunjhla ke kahe gar khafa hun to main hun aap ko, ja tujh ko kya hum asiran-e-qafas kya kahen khamosh hain kyun rah le apni chal ai baad-e-saba tujh ko kya gar kiya us se juda mujh ko to kah de ye falak mere aur us ke na milne se mila tujh ko kya hath uthata nahin gar ishq se main ai naseh tu nasihat se meri hath utha tujh ko kya gar kaho nam-e-khuda lagte ho tum kya hi bhale to ye kahta hai bhala hun to bhala, tujh ko kya kyun dila bistar-e-gham par hai tu khamosh pada kuchh to kah mujh se kisi ne ye kaha tujh ko kya ab wo mauquf hua nama-o-paigham bhi aah harf ghairon ka asar kar hi gaya tujh ko kya mere milne se kiya mana kisi ne jo tujhe tu ne is baat ko sun kar na kaha tujh ko kya paik-e-ashk aankhon se chal nikle jo khat padhte hi 'jurat' ab kuchh tu bata us ne likha tujh ko kya