dud-e-dil se hai ye tariki mere gham-khana mein shama hai ek sozan-e-gum-gashta is kashana mein main hun wo khisht-e-kuhan muddat se is virane mein barson masjid mein raha barson raha mai-khana mein main wo kaifi hun ki pani ho to ban jae sharab josh-e-kaifiyyat se meri khak ke paimana mein barq-e-khirman-soz danai hai na-fahmi teri warna kya kya lahlahate khet hain har dana mein kis nazakat se hai dekho ittihad-e-husn-o-ishq zulf wan shane ne khinchi dard hai yan shana mein wahshat o na-ashnai masti o beganagi ya teri aankhon mein dekhi ya tere diwana mein ishq ko nashw-o-numa manzur hai kab warna sabz tukhm-e-ashk-e-shama ho khakistar-e-parwana mein hosh ka dawa hai behoshon ko zer-e-asman khum-nashin misl-e-falatun sab hain is khum-khana mein pattharon mein thokaren khata hai nahaq sail-e-ab puchho kya le jaega aa kar mere gham-khana mein ek patthar pujne ko shaikh-ji kabe gae 'zauq' har but qabil-e-bosa hai is but-khana mein