sar uthaya ishq ne to chot ek bhaari padi ja ke is ke paon 'mohsin' apni khuddari padi ab jo dekha donon hi na-qabil-e-tafsir the raat ke jage huon par raushni bhaari padi chahne walon ko hi hona pada hai sangsar zinda rahne walon par hi zindagi bhaari padi mere dukh ko ek hi pahlu ki lazzat thi aziz ab jo karwat li to mujh pe aa ke bedari padi wo samundar wo hawaen wo tazabzub aur wo aankh jaan se jaane gae the aur gale yari padi aashna hone se pahle ajnabi-pan kha gaya ghar se pahle raste mein ghar ki rahdari padi in dinon shayad main apni dastaras se dur hun aaj to us ki nazar dil par mere kari padi