kisi ko ghar mila hisse mein ya koi dukan aai main ghar mein sab se chhota tha mere hisse mein man aai yahan se jaane wala laut kar koi nahin aaya main rota rah gaya lekin na wapas ja ke man aai adhure raste se lautna achchha nahin hota bulane ke liye duniya bhi aai to kahan aai kisi ko ganw se pardes le jaegi phir shayad udati rail-gadi dher sara phir dhuan aai mere bachchon mein sari aadaten maujud hain meri to phir in bad-nasibon ko na kyun urdu zaban aai qafas mein mausamon ka koi andaza nahin hota khuda jaane bahaar aai chaman mein ya khizan aai gharaunde to gharaunde hain chatanen tut jati hain udane ke liye aandhi agar nam-o-nishan aai kabhi ai khush-nasibi mere ghar ka rukh bhi kar leti idhar pahunchi udhar pahunchi yahan aai wahan aai