dukh uThao kitne hi ghar bahaar karne mein

dukh uthao kitne hi ghar bahaar karne mein
ek pal nahin lagta phul sab bikharne mein

zindagi ho kaisi bhi us se ji nahin bharta
warna sirf hota hai kitna waqt marne mein

khidkiyan huin khali phulon aur charaghon se
kaisa dil tadapta hai shahr se guzarne mein

waqt zakhm bharta hai aur yun bhi hota hai
umr bit jati hai ek zakhm bharne mein

sab ki baat dohrana yun to rasm-e-duniya hai
lutf aur hai lekin apni baat karne mein

ja basi hai wo ladki shahr mein magar ab bhi
gunjte hain git us ke har pahadi jharne mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close