dudman-e-dard ki shadi hain hum

dudman-e-dard ki shadi hain hum
khandan-e-gham ki aabaadi hain hum

apni shumi se hui shadi ghami
shayad aabaadi ki barbaadi hain hum

apne aab-e-chashm se sarsabz hain
zeb-e-dasht-o-zinat-e-wadi hain hum

darmiyan-e-zindagi-o-marg hain
qabil-e-said o na sayyaadi hain hum

zakhm-ha-e-hijr mein kya kya sahe
kushtagan-e-tegh-e-fauladi hain hum

banda-e-pirem ya-rab az azab
murid-e-altaf-e-azadi hain hum

hum nahin kahte muqallid hain tere
tere dar ke kalb-e-qilladi hain hum

dad kar ai dad-gar ushshaq-kush
tere aage tujh se fariyaadi hain hum

khun-baha mashuq se lete nahin
aashiq-e-insaf-e-be-dadi hain hum

dukhtar-e-raz ko koi hum se kahe
tere to haqdar damadi hain hum

hum gunahgar-e-janab-e-ishq hain
abd-e-ubbaadi na auradi hain hum

ai azizan tark-e-ishq-e-husn mein
sang par jun naqsh-e-bahzadi hain hum

la-walad kahte hain hum ko la-walad
sher se az-bas-ki auladi hain hum

aaqibat khaki hain khaki honge ne
aatishi-o-ahi-o-baadi hain hum

fath-baghi ne nasar-puri hain balki
sindh mein bhi haidrabaadi hain hum

kya kahen kya the kahan se aae hain
misl-e-mazmun-e-nau iradi hain hum

phir bhi wo irad karne sakta hai
jis ke awwal bar ijadi hain hum

mast-e-ahmad se 'matam' hain shakar*
ne sumudi qaum ne aadi hain hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close