harim-e-dil mein thahar ya sara-e-jaan mein ruk ye sab makan hain tere kisi makan mein ruk abhi main jod raha hun yaqin ka pyala tu aisa kar ki abhi kasa-e-guman mein ruk main tujh ko bandh lun apni ghazal ke sheron mein khayal-e-yar zara der mere dhyan mein ruk bahut si qaus-e-quzah ban rahi hain aankhon mein ai haft-rang pari meri dastan mein ruk main apne sheron ka mear kuchh buland karun mere huruf mein zam ho meri zaban mein ruk