duhai dun ki khule zulm se bachae mujhe koi nahin mere panje se jo chhudae mujhe main apne jism ke patthar ko thokaren marun magar ye shaghl-e-aziyyat pasand aae mujhe mere hi munh ko mera khun lag chuka hai yahan mere siwa koi qatil nazar na aae mujhe main ishtihaar lagaun badan pe ghazlon ke wo chahta hai ki show-case mein sajae mujhe main khud bhi ape ishaaron pe aaj tak na chala wo ungliyon pe bhala kis tarah nachae mujhe maza to jab hai shuaen bhi chhatriyan ban jaen khud aaftab chale le ke sae sae mujhe badal chuke hain rawayye shikayaten kaisi main jis se bach ke chalun wo na munh lagae mujhe