kati nahin to har taraf phailegi shakh jabr ki sabr ki baat chhodiye hoti hai had bhi sabr ki dhund ab aisi sarzamin jis ki tamam khetiyan mangen na aasman se bhik kabhi bhi abr ki karb ka bahr-e-bekaran chaaron taraf hai maujzan ghar mein ghadi muqim hai kab se azab-e-qabr ki pahle to ghar ke sahn mein dhup ki barchhiyan girin baad mein chhat pe aa gai fauj ghanim-e-abr ki bhik mein le ke juraten aae to panw jhad gae phand sake na is liye log fasil jabr ki rah-e-murad is liye aur bhi dur ho gai us mein tha qaht-e-hausla mujh mein kami thi sabr ki sahn mein phul phul jism khel rahe hain har taraf khauf nahin hai dhup ka fikr nahin hai abr ki