us bewafa ne laut ke aana to hai nahin ab us ke pas koi bahana to hai nahin mandlaen kyon na ye mere aangan ke aas-pas in panchhiyon ka koi thikana to hai nahin kab tak tumhaari yaad mein daman bhigoen hum aankhon mein aansuon ka khazana to hai nahin jo baat bhi karenge karenge yaqin ke sath hum ne hawa mein tir chalana to hai nahin sharma rahe ho kis liye lab kholte hue ab wo hamare wala zamana to hai nahin mahfil mein husn ki mera jaana fuzul hai tum sa wahan koi nazar aana to hai nahin dil pe jo biti hai sunane ka faeda aansu kisi ki aankh mein aana to hai nahin is waste main tum se hua hun kinara-kash kashti ko tum ne par lagana to hai nahin jitni tumhaara dil kare utni pilao aaj is bar hum ne hosh mein aana to hai nahin 'rahi' wo is liye kabhi hote nahin khafa wo jaante hain hum ne manana to hai nahin