tauba ka takalluf kaun kare haalat ki niyyat thik nahin rahmat ka irada bigda hai barsat ki niyyat thik nahin ai shama bachana daman ko ismat se mohabbat arzan hai aaluda-nazar parwanon ke jazbaat ki niyyat thik nahin kal qata talluq kar lena is waqt to duniya meri hai ye raat ki qasmen jhuti hain ye raat ki niyyat thik nahin aisa nazar aata hai jaise ye shai mujhe pagal kar degi thodi si tawajjoh bar-haq hai bohtat ki niyyat thik nahin raftar-e-zamana ka lahja saffak dikhai deta hai bar-waqt koi tadbir karo aafat ki niyyat thik nahin mai-khane ki rasm-o-rah mein bhi ho jae na shamil khot kahen khuddam fareb-amada hain khidmat ki niyyat thik nahin thoda sa kada gar dil ko karun aadat badal to sakti hain par asl musibat to ye hai aadat ki niyyat thik nahin darta hun 'adam' phir aaj kahin shoala na uthe bijli na gire barbat ki tabiat uljhi hai naghmat ki niyyat thik nahin