gham-o-andoh ka sine mein samundar le kar jiye jata hun magar hath mein saghar le kar khud-farebi ke andhere mein utar jata hun khud ko jab dhundta hun hath mein patthar le kar samne aaega wo jab bhi pukarun us ko apne chehre pe magar nur ki chadar le kar ek alhad si koi yaad bhale waqton ki dil ke panghat pe chali aati hai gagar le kar waqt bhi hum se ulajh padta hai hum bhi us ko roz lalkarte hain hath mein saghar le kar hum fasadon mein bhi hamsae se mil aate hain kabhi patthar kabhi bhaala kabhi khanjar le kar dawar-e-hashr se hum milne chalenge 'rahat' tair-e-fikr ka tuta hua ek par le kar