main KHak hun aab hun hawa hun

main khak hun aab hun hawa hun
aur aag ki tarah jal raha hun

tah-khana-e-zehn mein na jaane
kya shai hai jise tatolta hun

bahrup nahin bhara hai main ne
jaisa bhi hun samne khada hun

sunta to sabhi ki hun magar main
karta hun wahi jo chahta hun

achchhon ko to sab hi chahte hain
hai koi ki main bahut bura hun

pata hun use bhi apni jaanib
mud kar jo kisi ko dekhta hun

bachna hai muhaal is maraz mein
jine ke maraz mein mubtala hun

sunta hi na ho koi to kyun main
chillaun fughan karun karahun

auron se to ijtinab tha hi
ab apne wajud se khafa hun

baqi hain jo chand roz wo bhi
taqdir ke nam likh raha hun

likhta hun har ek baat sun kar
ye baat to main bhi kah chuka hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close