hamara man bhi usi mein magan raha hoga usi ka dhyan hamein aadatan raha hoga wo jis ko todne ka tera man raha hoga qafas tha ruh ka yani badan raha hoga tabhi to khub bahut khub lag rahi thi ghazal tere khayal ka hi pairahan raha hoga ada-e-rasm-e-falak kar-e-akhiri kar ke libas chand dobara pahan raha hoga main chaunkta hi nahin gar mujhe khabar hoti wo tera aana hi phir dafatan raha hoga suna hai zikr pe mere bahut tha sanjida wo aisa hai to nahin aisa ban raha hoga shikan khuli jo jabin se to ban gai aansu hamari fikr mein kuchh khas fan raha hoga