duniya mein kitne rang nazar aaenge nae hon did ke amal mein agar zawiye nae chehra bhi aansuon se tar-o-taza ho gaya barish ke baad sabza-o-gul bhi hue nae badli hai ye zamin ki meri aankh wo nahin begana shahr-o-dasht hain aur raste nae us ko badal gaya nasha-e-khud-supurdagi manus khal-o-khad mujhe yaksar lage nae sab se juda hain gar mere nau-zaida khayal jis ne diye khayal wo alfaz de nae