makin chhod gae khwab ain raat ke beach ki jaise dukh nikal aaya ho meri baat ke beach main jis se hath milata hun phir nahin milta na jaane kaun sa rasta hai mere hath ke beach wo aaj aai to main dur se hi jaan gaya main jis ko dhundhta rahta tha phul-pat ke beach isi sabab se to masraf khula tha kanon ka wo ek phone jo aata tha chhe aur sat ke beach hamare dil ko ba-har-haal sarsari na samajh zara zara si to dhadkan hai ab bhi dhat ke beach hum is se pahle saf-e-dushmanan mein rahte the phir ek phul khil aaya tha ain ghat ke beach