dukhon ki jhil nahin hai to zindagi kya hai har ek aankh mein har-waqt ye nami kya hai latak rahi hun main ab tak salib par us ki hayat mujh se bhala aur chahti kya hai chahakti sham to katra ke mujh se guzri thi guzar gai hai to mud mud ke dekhti kya hai khushi se apni ana mein hain qaid hum aise hamein khabar bhi nahin hai ke zindagi kya hai tumhaare lams ka mujh mein agar khumar nahin to meri jagti aankhon mein nind si kya hai