khatm hai baadal ki jab se saebani dhup mein aag hoti ja rahi hai zindagani dhup mein chand ki aaghosh mein hone se jis ka hai wajud khul sakegi kya bhala wo raat-rani dhup mein us ki furqat ki tapish mein main jhulas kar rah gai warna itni tab kab thi aasmani dhup mein kuchh chamakta sa nazar aane laga hai ret par badh rahi hai mere qadmon ki rawani dhup mein ek saya sath mere ham-safar ban kar mera likh raha hai phir koi taza kahani dhup mein