duniya-e-husn-o-ishq mein kis ka zuhur tha har aankh barq-pash thi har zarra tur tha meri nazar ki aad mein un ka zuhur tha allah un ke nur ka parda bhi nur tha thi har tadap sukun ki duniya liye hue pahlu mein aap the ki dil-e-na-subur tha hum kushtagan-e-gham pe ye ilzam-e-zindagi be-mehr kuchh to pas-e-haqiqat zarur tha baalin pe tum jab aae to aai wo maut bhi jis maut ke liye mujhe jina zarur tha thi un ke ru-ba-ru bhi wahi shan-e-iztirab dil ko bhi apni waza pe kitna ghurur tha lutf-e-hayat be-khalish-e-muddaa kahan yani ba-qadr-e-talkhi-e-sahba surur tha uth kar chale to hashr bhi uthna tha kya zarur un ki gali se madfan-e-'fani' to dur tha