duniya-e-ishq mein kisi qabil nahin raha jo dil teri nazar se gira dil nahin raha le ja raha hai shauq chala ja raha hun main ab imtiyaz-e-jada-o-manzil nahin raha tarik ho gaya hai zamana nigah mein pahlu mein jab se wo mah-e-kaamil nahin raha kyon mai-kashon pe uthti hain duniya ki ungliyan khud shaikh ehtiram ke qabil nahin raha ab kyunkar un ko lal-e-badakhshan kahe koi jab dil ka khun ashkon mein shamil nahin raha eajaz meri chashm-e-haqiqat-nigar ka dekh ab koi parda parda-e-hail nahin raha 'shaida' kahan wo aish wo ishrat wo imbisat mahfil mein jab wo zinat-e-mahfil nahin raha