fasana ishq ka wo is tarah dohrae jate hain zaban khamosh hai nazron se kuchh samjhae jate hain kisi ne be-rukhi samjha koi lutf-o-karam samjha kuchh is andaz se mahfil mein wo sharmae jate hain kahin aisa na ho ya-rab meri tauba pe ban aae ye baadal aaj ghir ghir kar mujhe bahkae jate hain mujhe ab dil ki dhadkan se yahi mahsus hota hai tamannaon ki duniya mein wo jaise aae jate hain qafas achchha hai aise aashiyan se ai chaman walo jahan zulm-o-sitam har waqt hum par dhae jate hain qadam chumegi un ke kaamyabi ek din badh kar safina apna jo tufan se takrae jate hain wufur-e-shauq mein ai 'dard' mera ab ye aalam hai jidhar nazren uthata hun wahin wo pae jate hain