subh-e-nau maghrib mein hai bedar bedaron ke sath

subh-e-nau maghrib mein hai bedar bedaron ke sath
aur hum gardish mein hain be-nur sayyaron ke sath

chikhti kirnen faza ki dilkashi ko le udin
dhup sayon se lagi hai sae diwaron ke sath

dosh par qabil ke hai lash phir habil ki
lamhe qabren khodte hain apni minqaron ke sath

nar-e-namrud aur gulzar-e-barahim ek hai
phul bhi lau de rahe hain aaj angaron ke sath

dekh ai chashm-e-zulekha qadr apne pyar ki
aaj phir yusuf ke bhai hain kharidaron ke sath

aal-e-musa ne kiya isa ko phir baala-e-dar
hain hawari bhi yahudi sang-dil yaron ke sath

qibla-e-awwal salahuddin-ayyubi ko dhund
aa mili diwar-e-girya teri diwaron ke sath

ai masiha zahr de lekin na dast-e-ghair se
ye sitam allahu-akbar apne bimaron ke sath

is siyasat ki faza mein sans lena hai azab
dushman apne sath hain aghyar hain yaron ke sath

karbala mein yakka-o-tanha husain-ibn-e-ali
taziye shahron mein hain lakhon azadaron ke sath

dosti ka hashr dekha to khula hum par 'zafar'
hashr mein khul kar karenge dushmani pyaron ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close