duniya-e-sitam zer-o-zabar ho ke rahegi jab raat hui hai to sahar ho ke rahegi talwar se jage ki nasim-e-sahari se hushiyar magar ruh-e-bashar ho ke rahegi ban jaenge gul rah mein bikhre hue kante himmat hai to takmil-e-safar ho ke rahegi ye husn-e-tasawwur mujhe marne nahin deta ek din meri jaanib wo nazar ho ke rahegi tum khun-e-tamanna ko mere lakh chhupao ek roz zamane ko khabar ho ke rahegi ye baat alag hai ki sahar tak na rahen hum lekin ye yaqin hai ki sahar ho ke rahegi 'shaarib' main chhupun lakh zamane ki nazar se lekin khabar-e-aib-o-hunar ho ke rahegi