duniya ka ye eazaz ye inam bahut hai mujh par tere ikram ka ilzam bahut hai is umr mein ye mod achanak ye mulaqat khush-gam abhi gardish-e-ayyam bahut hai bujhti hui subhen hon ki jalti hui raaten tujh se ye mulaqat sar-e-sham bahut hai main marhamat-e-khas ka khwahan bhi nahin hun mere liye teri nigah-e-am bahut hai kamyab kiya hai use bazar-e-talab ne hum the to wo arzan tha par ab dam bahut hai us ghar ki badaulat mere sheron ko hai shohrat wo ghar ki jo is shahr mein badnam bahut hai