roz khwabon mein nae rang bhara karta tha kaun tha jo meri aankhon mein raha karta tha ungliyan kat ke wo apne lahu se aksar phul patton pe mera nam likha karta tha kaisa qatil tha jo hathon mein liye tha khanjar chupke chupke mere jine ki dua karta tha hae qismat ki yahi chhod ke jaane wala umr bhar sath nibahenge kaha karta tha phul sa jism sulagte hue sandal ki tarah dil ke mandir mein sar-e-sham jala karta tha wo jo ek lamha kisi yaad mein katta tha 'nazir' dil ke jalte hue shoalon ko hawa karta tha