na aati thi kahin dil mein nazar aag magar phir bhi jali hai raat bhar aag khula hai dil mein ek daghon ka gulshan ugalta hai mera zakhm-e-jigar aag bulaya tha mujhe bazm-e-tarab mein laga di dil mein kyun munh pher kar aag dikhaya tur par musa ko jalwa kahan ja kar bani hai rahbar aag ye girya aur phir aah-e-sharar-bar taraqqi par idhar pani udhar aag wo mera dil jalana khel samjhe karegi rafta rafta ye asar aag shab-e-gham is qadar roya hai koi ki dhunde bhi nahin milti sahar aag wo dil par hath rakh kar gae hain ki ab jalne na pae raat bhar aag zamane ko jalata hai wo zalim na ban jaen kahin shams-o-qamar aag ye kis ki sard-mehri ka asar tha na dekhi tur par bhi jalwa-gar aag karun kya aah-e-sozan hijr ki shab farishton ke jala deti hai par aag ye dushman ka makan apna hi ghar hai laga den aap be-khauf-o-khatar aag dil-e-sozan ye kah de chashm-e-tar se khuda ke waste thandi na kar aag hasad ki aag mein jalta hai ab tak barasti hai adu ki qabr par aag wuzu ho jaenge zahid ke thande bujha degi kisi ki chashm-e-tar aag dil-e-nadan ko hum samjha chuke the mohabbat aag hai ai be-khabar aag suna mazmun jawab-e-khat ka 'rasikh' utha laya kahin se nama-bar aag