duniya ka zarra zarra miyan ishq ishq hai adna ho ya ho aala yahan ishq ishq hai jis roz hum ne khwab mein dekha tha aap ko us roz se hamara makan ishq ishq hai duniya isi liye to samajh hi nahin saki yaro hamare dil ki zaban ishq ishq hai aansu jo teri yaad mein tapka tha ek shab rukhsar par jo hai ye nishan ishq ishq hai 'salman' kaise likkhega us ke jamal ko inkar se bhi jis ke ayan ishq ishq hai