duniya khayal-o-khwab hai meri nigah mein aabaad sab kharab hai meri nigah mein bahti phire hai umar talatum mein dahr ke insan jun hubab hai meri nigah mein main bahr-e-gham ko dekh liya na-khuda ba-ru kashti na ho pa aab hai meri nigah mein chhuta hun jab se shaikh tayyun ki qaid se har zarra aaftab hai meri nigah mein tum kaif mein sharab ke kahte ho jis ko dil bhuna hua kabab hai meri nigah mein kyun khinchte ho tegh kamar se che-faeda muddat se is ki aab hai meri nigah mein 'hatim' tu is jahan ki lazzat par na bhul ye pa-e-dar-rikab hai meri nigah mein