haalat se khauf kha raha hun shishe ke mahal bana raha hun sine mein mere hai mom ka dil suraj se badan chhupa raha hun mahrum-e-nazar hai jo zamana aaina use dikha raha hun ahbab ko de raha hun dhoka chehre pe khushi saja raha hun dariya-e-furaat hai ye duniya pyasa hi palat ke ja raha hun hai shahr mein qaht pattharon ka jazbaat ke zakhm kha raha hun mumkin hai jawab de udasi dar apna hi khatkhata raha hun aaya na 'qatil' dost koi sayon ko gale laga raha hun