na-karda gunahon ki saza aur hi kuchh hai mansur anal-haq ki jaza aur hi kuchh hai kya hum se musafir ko qarar aa bhi sakega manzil koi manzil ka pata aur hi kuchh hai girne se bhi dil par kabhi chot aai kisi ko malum ye hota hai hua aur hi kuchh hai dushnam-taraazi hi nahin ranj ka bais mil baith ke dekho to gila aur hi kuchh hai jhampir mein pai hai faqat aabla-pai masqat ne to 'manzar' ko diya aur hi kuchh hai