gham de ke gham-gusar hue bhi to kya hue tadpa ke be-qarar hue bhi to kya hue karna tha dagh ban ke kisi dil mein raushni shama-e-sar-e-mazar hue bhi to kya hue hona tha aap apne chaman mein shagufa-kar sharminda-e-bahaar hue bhi to kya hue mitte kisi ke ishq mein ai dil to baat thi barbaad-e-rozgar hue bhi to kya hue dil bhi hai pash-pash safina bhi pash-pash tufan-e-gham se par hue bhi to kya hue viraniyan dayar-e-mohabbat mein hain wahi tum ghairat-e-bahaar hue bhi to kya hue hain sar-nigun hanuz tumhaare niyaz-mand tum ahl-e-ikhtiyar hue bhi to kya hue sine mein dil ke nam se ab khak bhi nahin ab aap sharmsar hue bhi to kya hue hans hans ke jhelna hai har uftad-e-shauq ko ro ro ke kaamgar hue bhi to kya hue hai samna fareb-e-mohabbat ka har-nafas ek un se hoshiyar hue bhi to kya hue barham agar sukun-e-do-alam na ho saka yun husn par nisar hue bhi to kya hue hai zindagi 'adib' ki ab bhi hijab mein hum us ke raaz-dar hue bhi to kya hue