duniya ki lazzaton se mafar kar raha hun main bas sadgi se umr basar kar raha hun main palkon pe aansuon ko guhar kar raha hun main raushan andheri raat mein ghar kar raha hun main ab us ki yaad se kabhi us ke habib ki aabaad apne dil ka nagar kar raha hun main jab mujh ko gulsitan ka muhafiz bana diya yun dur us se barq-o-sharar kar raha hun main mumkin hai phut nikle kabhi nakhl-e-arzu sukhi zamin ko aab se tar kar raha hun main shayad qubul kar le kisi din wo meri baat paida zaban mein 'yas' asar kar raha hun main