hae kaisa ye zamane ka asar lagta hai

hae kaisa ye zamane ka asar lagta hai
jis ko dekho wahi afsurda bashar lagta hai

khun ke rishton ka bhi ab koi taqaddus na raha
apna ghar bhi mujhe ab ghair ka ghar lagta hai

diye jata hai bahut zehni aziyyat mujh ko
dushman-e-jaan mera lakht-e-jigar lagta hai

ghar ka shiraaza bikhar jaega ma'lum na tha
ab ye ghar hi mujhe aaseb ka ghar lagta hai

bap ka bap bana baitha hai beta ghar mein
aur agar bap ko dekho to pisar lagta hai

ab burai pe bhi ghairat nahin insanon ko
ab har ek aib ba-andaz-e-hunar lagta hai

hum kisi shakhs ko kuchh kahne ke qabil na rahe
apna hi haal bas ab zer-o-zabar lagta hai

ye hai andesha zaban par na lage qufl kahin
yun koi baat bhi kahte hue dar lagta hai

jaan lewa yahi haalat rahe to ek din
apna duniya se bahut jald safar lagta hai

pas-e-mizhgan hai to is mein hai samundar pinhan
ashk jab palkon pe aata hai guhar lagta hai

khun se sinch ke paude ko bada karte hain
tab kahin ja ke wo ai 'yas' shajar lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close