hadse gasht mein rahte hain qaza ki surat

hadse gasht mein rahte hain qaza ki surat
kitni mahdud hai duniya mein baqa ki surat

qissa-e-sabr-o-raza us ko sunao ja kar
jis ne dekhi na ho arbab-e-wafa ki surat

zakhm bhar jaenge pal bhar mein yaqin hai mujh ko
wo jo aa jaen zara der dawa ki surat

aa ke baithe bhi nahin thik se aur chal bhi diye
jab bhi aate ho to aae ho hawa ki surat

tu jo bole to utar jae mujassam dil mein
kisi tasir se bharpur dua ki surat

lazzat-e-did se mahrum hun mahrum sahi
wo khayalon mein hai maujud khuda ki surat

hadisa phir to nahin koi falak-saz hua
utri utri si hai kyon aaj ziya ki surat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close