duniya mein hum sa koi sarapa-alam nahin wo din hi kaun sa hai ki jo roz-e-gham nahin har dam tere mariz ki haalat kharab hai dard aaj dil mein kal se ziyaada hai kam nahin kya gham mujhe mitae falak dhundh dhund kar nam apna fard-e-namwari mein raqam nahin gul khil rahe hain aamad-e-fasl-e-bahaar hai bulbul chahak rahi hai sarir-e-qalam nahin ahl-e-qalam hon zer-e-nagin mulk-e-nazm hai kyunkar kahun ki sahib-e-tabl-o-alam nahin kya kya aziz khak hue mil ke khak mein lekin yahan kisi ka kisi ko bhi gham nahin hoti hai ghaib se meri imdad ai falak minnat-kash-e-inayat-e-ahl-e-karam nahin yaran-e-raftagan se bahut ji ko uns hai milte agar musafir-e-mulk-e-adam nahin gar dard-e-dil yunhin hai salamat to ek din 'raushan' ye yaad rakhna ki duniya mein hum nahin