nach ho rang ho ahbab ki mehmani ho

nach ho rang ho ahbab ki mehmani ho
ho ajab lutf jo ladkon ki musalmani ho

qorma zarda ho biryani ho burani ho
handi mauquf ke takiye mein ye diwani ho

tujh ko ma'lum ho haal-e-shab-e-furqat ai shaikh
ek din tujh se juda gar teri shaikhani ho

sakht patthar hai tera naz but-e-sangin dil
wo uthae tere ghamzon ko jo bandhani ho

mere bistar ko sade tat ka tukda howe
teri gaddi ke liye makhmal-e-kashani ho

sabz rangon ka zara daur to aae zahid
tu sahi bhang amame mein tere chhani ho

gham-zada aalam-e-tanhai mein hum baithe hain
jae kailash ke mele ko jo sailani ho

adwe bhadwan pe giri padti ho kuchh sharm nahin
tum to nochi se siwa naika mastani ho

motiyabind hua jata hai aankhon mein yahan
ab bhi aa jao jo surat tumhein dikhlani ho

qatl-e-ashiq ke siwa aur koi kaam nahin
tum bhi changez ho ya nadir-e-durrani ho

mehr ne sun ke ye ashaar 'inayat' se kaha
tum 'nizami' ho ki 'sadi' ho ki 'khaqani' ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close