gham-e-jaan gum gham-e-duniya mein to hona mushkil hai samundar ko samundar mein samona mushkil nind jis ne bahut aankhon se uda rakkhi thi ye hua kya ki hua us ko bhi sona mushkil har sifat apni kahan deta hai gul khushbu ko khwab dil ke meri aawaz mein hona mushkil yun zamin zaiqa-e-khun se hui hai manus is mein ab fasl-e-mohabbat ki hai bona mushkil kal hamein milne hain jo gham wo abhi mil jaen aankh pathrai to ho jaega rona mushkil waqt ko khelne insan se do ji bhar ke phir 'kamal' us ko hai milna ye khilauna mushkil