junun-e-ishq jise sar-phira bana dega pahad kat ke wo rasta bana dega khumar-e-husn salamat rakhe khuda us ka jahan wo chahe wahan mai-kada bana dega usi ke qabza-e-qudrat mein hain sabhi ke dil wo jis ko chahe use parsa bana dega ghira hua mujhe dekhega jab nadamat mein wo meri aah ko harf-e-dua bana dega mera zamir hi ab mera rahnuma thahra ye har maqam pe mujh ko bada bana dega jo dekh lega tumhein koi manchala mausam tumhaari zulf se kali ghata bana dega tu dusron se hai bartar na ye samajh 'rahbar' ye e'tibar tujhe khokhla bana dega