maza aata nahin ai dil hamein ab muskurane mein bura jo kuchh hua achchha hai us ko bhul jaane mein koi to ho zamane mein ghamon ko bantne wala nahin achchha har ek ko haal-e-dil apna sunane mein bani hai dahr mein aamal se jab zindagi apni guzaro zindagi duniya mein ab tum bhi banane mein zara mehnat karen to mal-o-zar mil jaenge lekin sukun-o-chain milna hai bahut mushkil zamane mein kisi ke samne main hath phailaun bhala kyunkar kami hai kya kisi bhi chiz ki rab ke khazane mein jahan mein har-qadam par imtihan-e-sabr-o-iman hai magar sina-sipar hum bhi hain iman ko bachane mein falah-e-admiyyat hai yaqinan muttahid rahna bada nuqsan hai dekho ukhuwwat bhul jaane mein hamare jaan-o-iman hain amanat rab ta'ala ki badi be-abrui hai inhen yunhi lutane mein sukun se baith kar yaro karo tum chain ki baaten sanbhalta 'faiz' kab ye dil hai aise aane jaane mein