tere sitam ki zamana duhai deta hai kabhi ye shor tujhe bhi sunai deta hai shajar se tutne wale har ek patte mein tere bichhadne ka manzar dikhai deta hai jo dil mein baat ho khulti nahin kisi pe magar kahe jo aankh wo sab ko sunai deta hai main ikhtiyar tumhein apna saunp dun kaise kabhi khuda bhi kisi ko khudai deta hai udas raat ke aangan mein dubta saya bichhadne wale ka paikar dikhai deta hai khizan-mizaj hai wo chhod do use 'khawar' wo mausamon ke safar mein judai deta hai